Saturday, 11 January 2025

 mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai

sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai


yaani jise deemak lagi jaati thi vo main tha

ab aake mera meri taraf dhyaan gaya hai


sheeshe mein bhale usne meri nakl utaari

khush hoon ki mujhe koi to pehchaan gaya hai


ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula

ik shakhs tere dar se pareshaan gaya hai


ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao

darvesh to dastak se hi pehchaan gaya hai

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.

جلد بچھڑیں گے یہ آثار نظر آتے ہیں

‏میں بتاؤں گی نہیں تم کو مگر آتے ہیں جلد  بچھڑیں گے یہ  آثار  نظر  آتے ہیں بعد میں جا کے اکڑتے ہیں، خدا بنتے ہیں و...